Quran me insano ke liye likhe hai 99 farman

Quran me insano ke liye likhe hai 99 farman.

 


1. Bad zubani se bacho (surah No. 3.159)

2. Gusse ko pi jaao (Surah No. 3.134)

3. Dusro ke sath bhalai karo (Surah No. 4.36)

4. Ghamand se bacho (Surah No. 7.13)

5. Logo se narmi se baat karo (Surah No. 20.44)

6. Apni awaz nichi rakho (Surah No. 31.19)

7. Dusro ki galtiya maaf karo (Surah No. 7.199) 

8. Dusro ka mazk na udao (Surah No. 49.11)

9. Waliden ki izat karo un ki farm bardari karo (Surah No. 17.23)

10. Waliden ki be adbi se bacho aur un ke samne uff tak na kaho (Surah No. 17.23)

11. Ijazat ke bina kisi ke kamre me dakhil na ho (Surah No. 24.58)

12. Aapas me karz ke mamlat likh diya karo (Surah No. 2.282)

13. Kisi ki andhi taklid mat karo/ kisi ko bina dekhe ye mat kaho ke wo sahi hai (Surah No. 2.170) 

14. Agar koi tangi me hai to us ke karz utarne me use rahat do (Surah No. 2.280)

15. Bayaj (intrest) mat khaao (Surah No. 2.275)

16. Rishwat mat lo (Surah No. 2.188)

17. Waado ko pura karo (Surah No. 2.177)

18. Aapas me bharosa kaayam rakho (Surah No. 2.283)

19. Such aur jhoot ko aapas me na milao (Surah No. 2.42)

20. Logo ke bich insaf se fesla karo (Surah No. 4.58)

21. Insaf par mazbuti se jao (Surah No. 4.135)

22. Marne ke bad har shaqs ki dolat us ke karibi rishtedar me baatt do (Surah No. 4.7)

23. Aurto ka bhi virasat me haq hai (Surah No. 4.7)

24. Yatimo ka maal na haq mat khao (Surah No. 4.10)

25. Yatimo ka khayal rakho (Surah No. 2.220)

26. Ek dusre ka maal na jayaz tarike se mat khao (Surah No. 4.29)

27. Kisi ke jhagde ke mamle me sulah karwao (Surah No. 49.9)

28. Badgumani se bacho (Surah No. 49.12)

29. Gawahi ko maat chhupao (Surah No. 2.283)

30. Ek dusre ke bhed na tatola karo aur kisi ki chugli mat karo (Surah No. 49.12)

31. Apne maal me se kherat karo (Surah No. 57.7)

32. Miskin garibo ko khilane ki tarkib do (Surah No. 107.3)

33. Zarurat mand ko talash kar un ki madad karo (Surah No. 2.273)

34. Kanjusi aur fizul kharchi se bacho (Surah No. 17.29)

35. Apni kherat logo ko dikhane ke liye aur ahsan jata kar barbad mat karo (Surah No. 2.264)

36. Mehmano ki izat karo (Surah No. 51.26)

37. Bhalai par khud amal karne ke bad dusro ko badhawa do (Surah No. 2.44)

38. Zamin par fasad maat karo (Surah No. 2.60)

39. Logo ko mazido me zikar karne se maat roko (Surah No. 2.114)

40. Sirf un se lado jo tum se lade (Surah No. 2.190)

41. Jang ke aadab ka khayal rakhna (Surah No. 2.191)

42. Jang ke doran pit maat ferna (Surah No. 8.15)

43. Din me koi zabardasti nahi (Surah No. 2.256)

44. Sabhi pegambaro par iman laao (Surah No. 2.285)

45. Haalate mahawari me aurto se sabhog na karo (Surah No. 2.222)

46. Ma bachho ko do saal tak dudh pilao (Surah No. 2.233)

47. Khabardar zina (Fornication) ke pas kisi surat me nahi jana (Surah No. 17.32)

48. Hukumo raano ko khubi dekh kar chuna karo (Surah No. 2.247)

49. Kisi par us ki takat se jada bojh maat dalo (Surah No. 2.286)

50. Aapas me foot mat dalo (Surah No. 3.103)

51. Duniya ki takliq chamatkaro par ghehri chinta karo (Surah No. 3.191)

52. Mardo aur aurto ko aamal ka sila bara-bar milega (Surah No. 3.195)

53. Khoon ke rishto me shaadi maat karo (Surah No. 4.23)

54. Mard pariwar ka hukumran hai (Surah No. 4.34)

55. Hasad aur kanjusi maat karo (Surah No. 4.37)

56. Hasad maat karo (Surah No. 4.54)

57. Ek dusre ka katal maat karo (Surah No. 4.92)

58. Khayanat karne walo ki Himayat mat karo (Surah No. 4.105)

59. Gunha aur jurm wa ziyadti me madad mat karo (Surah No. 5.2)

60. Neki aur bhalai me sahiyog karo (Surah No. 5.2)

61. Aksariyat me hona sachai ka sabut nahi (Surah No. 6.116)

62. Insaaf par kayam raho (Surah No. 5.8)

63. Jurum ki saza misali tor me do (Surah No. 5.38)

64. Burai aur gunha amaaliyo ke khilaf bharpur jad o jehad karo (Surah No. 5.63)

65. Murda janwar, khoon, suwar ka maas haram hai (Surah No. 5.3)

66. Sharab aur nashili dawaiyo se khabardar (Surah No. 5.90)

67. Juaa maat khelo (Surah No. 5.90)

68. Dusro ki aastha ka mazk maat udao (Surah No. 6.108)

69. Logo ko dhoka dene ke liye naap tol pe kami mat karo (Surah No. 6.152)

70. Khoob Khao piyo lekin haad paar na karo (Surah No. 7.31)

71. Masjido me ibadat ke waqt achhe kapde pehno (Surah No. 7.31)

72. Jo tumse madad aur hifazat aur panha ke talbgar ho uski madad aur hifazt karo (Surah No. 9.6)

73. Paak saaf raha karo (Surah No. 9.108)

74. Allah ki rehmat se kabhi nirash mat hona (Surah No. 12.87)

75. Anyanta aur jugal ke karan kiye gay bure kaam aur gunha allah maaf kar dega (Surah No. 16.119)

76. Logo ko Allah ki tarf hikmat aur nasihat ke sath bulao (Surah No. 16.125)

77. Koi chiz dusre ke gunaho ka bojh nahi uthayga (Surah No. 17.15)

78. Kiskini aur geab ke dar se bacho ki hatya mat karo (Surah No. 17.31)

79. Jis baat ka ilm na ho uske pichhe (argue) maat padho (Surah 17.36)

80. Niradhar aur anjaane kaamo se parhej karo (Surah No. 23.3)

81. Dusro ke gharo me bina ijazat maat dakhil ho (Surah No. 24.27)

82. Jo Allah me yakin rakhte hai, allah unki hifazat karega (Surah No. 24.55)

83. Jamin par aaram aur sukun se chalo (Surah No. 25.63)

84. Apni duniyaavi zindagi ko andekha maat karo (Surah No. 28.77)

85. Allah ke sath kisi aur ko maat pukaro (Surah No. 28.88)

86. Samlegikta se bacha karo (Surah No. 29.29)

87. Ache kaamo ki nasihat do aur bure kaamo se roka karo (Surah No. 31.17)

88. Zamin par shekhi aur ahenkaar se itra kar maat chalo (Surah No. 31.18)

89. Aurate apne banaao singhara par taqabur (Garv) na kare (Surah No. 33.33)

90. Allah sabhi gunho ko maaf kar dega siway shirq ke (Surah No. 39.53)

91. Allah ki rehmat se maayus mat ho (Surah No. 39.53)

92. Burai ko bhalai se dafa karo (Surah No. 41.34)

93. Namaaz se apne kaam anjaam do (Surah No. 42.38)

94. Tum se jayda izat wala wo hai jinse sachai aur bhalai ikhtiyar ki ho (Surah No. 49.13)

95. Din me rehbaaniyat moujud nahi (Surah No. 57.27)

96. Allah ke yaha ilm walo ke darjaat buland hai (Surah No. 58.11)

97. Ger muslamano ke sath unchit wavhaar aur dayaaluta aur achha wavhaar karo (Surah No. 60.8)

98. Apne aap ko nafs ki hashr paak rakho (Surah No. 64.16)

99. Allah se maafi mangi wo maaf karne aur rehmat karne wala hai (Surah No. 73.20)



Allah talah hum sab ko kehne sunne se jada amal karne ki toufiq aata farmay.


   ✓Follow and subscribe for latest updates✓





Post a Comment

0 Comments

close