Chaasht Ki Namaz || Hadis || Namaz || Tarika || Timing

 *Hazrat Abu Hurairah (Raziyallahu Anhu)* se riwayat hai ke *Nabi Kareem* *(Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam)* ne irshaad farmaaya: Jo chaasht ki do rakaat padhne ka ehtemaam karta hai uske gunah mu'af kardiya jaate hain agarcha wo samundar ke jhaag ke barabar ho. (Ibn-e-Maaja: 1382)



*Chaasht Ki Namaz Ka Tarika*


Chasht Ki Namaz Ki Rakaten

Chasht ki namaz me 2 rakat se lekar 12 rakats tak hain, agar koyi sirf 2 hi rakat padhe tab bhi us ko Namaz e Chasht ka sawab milega, behtar yah hai ki 4 ya 8 rakat padhe. yahi hadison me bhi aaya hai jaisa ki Muslim Shareef ki ek riwayat me hai:



عَن مُعَاذَةُ، أَنَّهَا سَأَلَتْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللهُ عَنْهَا، كَمْ كَانَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي صَلَاةَ الضُّحَى؟ قَالَتْ: «أَرْبَعَ رَكَعَاتٍ وَيَزِيدُ مَا شَاءَ». رواه مسلم في صحيحه (719).


Translation: Hazrat Muaza ne Hazrat Aayesha (R Z) se Puchha ki: Rasulullah (S A W) Chasht ki kitni Rakat padhte the?  Hazrat Aayesha ne Jawab dia ki aksar aap 4 rakat padh te the aur kabhi us se zada bhi. (Muslim Shareef Hadees No: 719).



*Chast Ki Namaz Ka Time*

chast ki namaz ka time 10: 00 Am, ya  11: 00 Am hai jab ki suraj khoob unchayi par aa jaye, aur wah roshan aur chamkdar ho jaye  tab Namaz e Chasht  ada ki jaye.


*Chash ki Namaz kaun kaun surten padhna Mustahab Hai?*

Agar kisi ko Sure “Wash shamsi w Zuhaha” aur Sure “Wazzuha wallaili iza saja” yaad ho to in dono surton ko padhna behtar hai, aur agar yaad na ho to jo bhi surat yaad ho parh le sawab me In Sha Allah koyi kami na hogi.


Umeed hai sab ko padh ke acha laga ho to logo tak ye knowledge share karo jazk Allah for reading 


Regards 

Islamic Knowledge 💐


Hashtag For This Post 

#ChaashtKiNamaz #Namaz #chast #Chasht #Chaast #Chashat #Namaz #Hadis #Nafil #NafilNamaz #IslamicKnowledge #BaagEJannat 

Post a Comment

0 Comments

close